aankh be-khwabi pe qurban dil nisar-e-intizar aur hi hoga koi shikwa-guzar-e-intizar kar diya hai kis ke jalwe ne shikar-e-intizar main hun aur aathon pahar wo rahguzar-e-intizar koi mujh se hashr ko milne ka wada kar gaya ek qayamat ho gae lail-o-nahaar-e-intizar jab kisi ka wada-e-farda mujhe yaad aa gaya phir gai meri nazar mein rahguzar-e-intizar ab bhi hai ye haal dekha jis taraf dekha kiya meri hairani hai goya yaadgar-e-intizar wo chale aate hain betabana mere pas kyon allah-allah jazba-e-be-ikhtiyar-e-intizar kis tarah wo bul-hawas ho wasl ka lazzat-shanas jis ne luti ho na 'saib' kuchh bahaar-e-intizar