ishq ki garmi-e-jazbaat kise pesh karun ye sulagte hue din-raat kise pesh karun husn aur husn ka har naz hai parde mein abhi apni nazron ki shikayat kise pesh karun teri aawaz ke jadu ne jagaya hai jinhen wo tasawwur wo khayalat kise pesh karun ai meri jaan-e-ghazal ai meri iman-e-ghazal ab siwa tere ye naghmat kise pesh karun koi hamraaz to paun koi hamdam to mile dil ki dhadkan ke ishaaraat kise pesh karun