aankh chura kar nikal gae hushyari ki samajh gae tum bhi mauqe ki bariki dariya par safar ki jab tayyari ki mausam ne har bar badi ghaddari ki ab lagta hai mud ke dekh to sakta tha aakhir had bhi hoti hai khuddari ki bar bar aakash ne ki aatish-bazi raat manaya hum ne jashn-e-tariki shayad sirf ujala kar ke bujh jae shayad niyyat badal jae chingari ki dhadkan ko laghzish ki chhut nahin bilkul dil ne itni sakht hidayat jari ki