ghar-bar kahan kucha o bazar meri jaan darwesh ko duniya nahin darkar meri jaan ek shahr zamin-bos hai aamad pe tumhaari raste mein bichhe hain dar-o-diwar meri jaan kyun arsa-e-aflak siyah-posh hai bolo kis tarah zamin ho gai gulnar meri jaan kuchh phul hain shakhon se abhi jhul rahe hain rukhsar pe rakkhe hue rukhsar meri jaan rota hun to sailab se katti hain zaminen hansta hun to dhah jate hain kohsar meri jaan sunte hain falak-bos imarat hai tah-e-ab kya shahr tha kya mauj ki raftar meri jaan dil hai ki abhi dard ke narghe mein ghira hai chehra hai ki aalam mein hai akhbar meri jaan ta-umr na milne ki kasak sath rahegi pahla to nahin aakhiri didar meri jaan