aankh ka manzar-nama bant liya jae yani khwab ka raqba bant liya jae ek charagh ko mahram-e-raaz kiya jae aur andhera kona bant liya jae tere mere beach mizaj ka parda hai kya kahte ho parda bant liya jae batwara maqdur hua to ghar hi kyun behtar hoga rasta bant liya jae yar kitaben mujh ko khae jati hain sochta hun ab kamra bant liya jae