aankh kholi hai to ye dekh ke pachhtae hain

aankh kholi hai to ye dekh ke pachhtae hain
log ghazlon se bahut dur nikal aae hain

wo jo dukh sahte the uf tak bhi nahin karte the
aaj saf bandh ke maidan mein utar aae hain

khun hi khun nazar aata hai ta-hadd-e-nazar
kis ke naqsh-e-kaf-e-pa arsh pe lahrae hain

aaj ye soch ke larzan hai jafa-ju ka ghurur
qumqume kis liye dharti pe utar aae hain

kaamran hone ka ushshaq ko dete hain payam
ye khat-o-khal jo kohre se ubhar aae hain

kal talak shaikh gurezan bhi the bezar bhi the
aaj kuchh baat hai jo 'soz' ke ghar aae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close