khamosh hain khamosh magar dekh rahe hain hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain tarik fazao mein bhi jugnu koi chamka aaj apni duaon ka asar dekh rahe hain kya baat hai kya raaz bane kya ho gaya aakhir kyon aap ko ba-dida-e-tar dekh rahe hain khud maut se takrane ka jin ko hai saliqa mar ke bhi wo apne ko amar dekh rahe hain dekha na hamein mud ke bhi ek bar kisi ne hum shauq se ta-hadd-e-nazar dekh rahe hain kya jaaniye is rah se kab un ka guzar ho muddat se magar rahguzar dekh rahe hain