aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya ek chehre ko kai chehron mein dikhlaya gaya mere panw nit nae raston se the kab aashna sadiyon pahle tha jahan mujh ko wahin paya gaya phir hui bedar khwahish aankh mein aai chamak phir kisi ko dhup sa malbus pahnaya gaya sunne walon ne to dekha bhi nahin tha chaunk kar raaz sine se nikal ke hont par aaya gaya is qadar tha sang-dil jaise kisi qatil ka dil mujh se wo mahaul ai 'khalid' na apnaya gaya