dil hai viran bayaban ki tarah gosha-e-shahr-e-khamoshan ki tarah hae wo jism tah-e-khak hai aaj jis ne rakkha tha hamein jaan ki tarah sahab-e-khana samajhte the jise chal diya ghar se wo mehman ki tarah chand suraj ka guman tha jis par bujh gaya sham-e-shabistan ki tarah saya-e-atifat ab sar pe nahin saya-e-abr-e-gurezan ki tarah hai agar apna muqaddar bhi to hai tang bas tangi-e-daman ki tarah