aankh ko dil ka azadar nahin hone diya yani patthar ka saza-war nahin hone diya us ki aankhon mein raunat meri aankhon mein khumar donon dariyaon ka inkar nahin hone diya main ne phir chum ke batlaya ki wo zinda hai main ne us shakhs ko diwar nahin hone diya hum use hijr ki bhatti mein nahin jhonk sake hum ne is nur ko finnar nahin hone diya reshmi kan masaib bhi nahin sun sakte is liye karb ka izhaar nahin hone diya ek dewi thi jo aankhon se sukhan bantti thi us ne hum aison ko bekar nahin hone diya jab use bhulne lagte wo nazar aa jata us ne but-khane ko mismar nahin hone diya