idhar kuchh aur kahti hai udhar kuchh aur kahti hai ye duniya chahti kuchh hai magar kuchh aur kahti hai ye dil kuchh aur kahta hai nazar kuchh aur kahti hai magar un ki nigah-e-moatabar kuchh aur kahti hai qaside padh rahe ho tum chaman ki shan mein lekin har ek jhulsi hui shakh-e-shajar kuchh aur kahti hai ba-zahir hain jadid uslub ki aaraishen dilkash magar tahqiq-e-arbab-e-hunar kuchh aur kahti hai pata sehat ka chalta hai mariz-e-gham ke chehre se magar sanjidgi-e-chaaragar kuchh aur kahti hai teri poshak ke paiwand hain iflas ke mazhar teri ba-raub shakhsiyyat magar kuchh aur kahti hai banane ko bana len hum bhi shishon ke makan 'anwar' magar yaron ki sang-afgan nazar kuchh aur kahti hai