aankh kya gham mein tere nam si hui jati hai zindagi shoala thi shabnam si hui jati hai badle badle wo nazar aane lage hain jab se un ko pane ki talab kam si hui jati hai kya mohabbat hai yahi jab se tujhe dekha hai ek khalish sine mein paiham si hui jati hai jab se is dil ko gham-e-yar mila hai yaro zindagi aur bhi mohkam si hui jati hai aaj phir dil ne liya hai teri yaadon ka asar aaj phir aankh meri nam si hui jati hai mere hathon ne sikhaya tha sanwarna jis ko aaj wo zulf bhi barham si hui jati hai jab se wo mere tasawwur mein lage hain aane meri har sham shab-e-gham si hui jati hai jab se ulfat ka asar hone laga hai us par us ki haalat bhi 'zafar' hum si hui jati hai