bewafa se gala kiya na gaya lutf-e-gham be-maza kiya na gaya lakh chaha bane wo mera ghar sang ko aaina kiya na gaya us ne gham hi diye mohabbat mein pas-e-ahd-e-wafa kiya na gaya raat bhar jage intizar kiya us se wa'da wafa kiya na gaya wo juda hum se ho gaya lekin us ko dil se juda kiya na gaya ishq mein gham sahe magar phir bhi ishq se dil bura kiya na gaya baad muddat ke jab mile us se koi shikwa gila kiya na gaya but tarashe hazar aazar ne but ko gham-ashna kiya na gaya waz kya kya diye na waiz ne rind ko parsa kiya na gaya jaan de di kisi ke gham mein 'zafar' aur is ke siwa kiya na gaya