aankh mein ashk liye khak liye daman mein ek diwana nazar aata hai kab se ban mein mere ghar ke bhi dar-o-baam kabhi jagenge dhup niklegi kabhi to mere bhi aangan mein kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaran tujh ko kitne phulon ki mahak hai tere pairahan mein shab-e-tarik mera rasta kya rokegi mere aanchal mein sitare hain sahar daman mein kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein ahd-e-rafta ki tamanna ka fusun zinda hai dil-e-nakaam abhi tak teri har dhadkan mein hamein manzur nahin agli rawayat-e-junun ba-khirad ho gai 'gulnar' diwana-pan mein