bad-sohbaton ko chhod sharifon ke sath ghum pi khush-numa glass se achchhe labon ko chum lahje ko shokh chehre ko taza banae rakh tahsin ki saba ho ki tazhik ki sumum mai-khana-e-mafad ke mai-kash hain hosh-mand mauqa se le le jam tawazun ke sath jhum burj-e-amal mein chance ke suraj ki kar giraft sadken hain zaicha tera ye qumqume nujum thahra to phir udaengi khamoshiyan mazaq stage se utar jo mache taliyon ki dhum han gulshan-e-talab ki inhen bulbulen samajh viran-kade mein jism ke ye khwahishon ke bum