aankh mein gar tujhe rakkha jae phir koi khwab na dekha jae us se bichhde to samajh mein aaya yun kisi ko bhi na chaha jae mujh ko bhi sath liye phirta hai jis taraf soch ka dariya jae apne andar wo chhupa baitha hai apne hi aap ko parkha jae ek nuqte pe jami hain sochen ghar se bahar kahin nikla jae