aas ke dip ba-juz tere bujha baiThe hain

aas ke dip ba-juz tere bujha baithe hain
dar pe tere jo liye harf-e-dua baithe hain

dil to pahle hi gaya tha teri aawaz ke sath
tujh ko dekha hai to aankhen bhi ganwa baithe hain

tujh se maani ka taqaza bhi nahin kar sakte
dil ki shakhon se bhi alfaz uda baithe hain

sath chalne se gurezan hain isi waste hum
dhoka pahle bhi kisi shakhs se kha baithe hain

ab to chahkenge khamoshi mein bhi lafzon ke parind
tere honton ki munderon pe jo aa baithe hain

tum ko aana jo nahin tha to bata hi dete
hum yunhi ghar ke dar-o-baam saja baithe hain

hum bhi kya log hain tazin-e-chaman ki khatir
bel aakas ki pedon pe chadha baithe hain

hum sulagte hain kisi aur chita mein 'ahsan'
apne daman mein koi aag chhupa baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close