aankh mein teri shakl hai dil mein tera jamal hai kis ko ye fursat-e-khayal hijr hai ya visal hai us ki shikastagi na dekh us ke farogh par na ja ishq to husn hi ka ek partaw-e-la-yazal hai teri nazar ki bijliyan kaund gain kahan kahan farsh se arsh tak tamam raushni-e-jamal hai pahle tha iztirab-e-dil ruh-e-rawan-e-ashiqi rah-e-fana mein ab yahi mane-e-ittisal hai ab na wo fikr-e-nama-bar aur na wo iztirab-e-dil apna jawab aap hi ab mera har sawal hai