zahin aap ke dar par sadaen dete rahe jo na-samajh the wo dar-dar sadaen dete rahe na jaane kaun si aae sada pasand use so hum sadaen badal kar sadaen dete rahe palat ke dekhna to us ka farz banta tha sadaen farz thin jin par sadaen dete rahe main apne jism se bahar talashta tha unhen wo mere jism ke andar sadaen dete rahe hamare ashkon ki aawaz sun ke daud pade wo jin ki pyas ko sagar sadaen dete rahe tumhaari yaad mein phir rat-jaga hua kal aur sahar mein nind ke paikar sadaen dete rahe