aankh nam hai na dil figar apna

aankh nam hai na dil figar apna
uth gaya khud se eatibar apna

zikr hota hai bar bar apna
tutta hi nahin khumar apna

dekhna chahte ho yar apna
todiye pahle ye hisar apna

yaad karte rahe tujhe jab tak
waqt guzra hai khush-gawar apna

de diya hum ne apne hathon se
ghair ke bas mein ikhtiyar apna

har tunuk-tab par machal jae
itna arzan nahin hai pyar apna

be-khabar ho gaya wahi hum se
jis ko rahta tha intizar apna

hai yahi aarzu mere malik
hashr mein tu mujhe pukar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close