ye duniya tab hasin itni nahin thi meri jab ishq se banti nahin thi batate the mujhe aa kar kabutar wo ladki jab wahan rahti nahin thi dua din raat karte the musawwir teri taswir par banti nahin thi ghadi hum us ki di lautate kaise hamari zindagi chalti nahin thi sab apne ghar ko jaldi lautte the meri hi sham bas dhalti nahin thi khuda ke sath rahte the falak par zamin walon se jab banti nahin thi ayan kar deta tha main sab nadi par nadi mujh par magar khulti nahin thi main khud ko rok leta khud-kushi se meri mujh par magar chalti nahin thi hum ab ke chaar khane chit pade the aur aage chaal bhi banti nahin thi