aankh se aankh mile ramz khule baat chale din nikalne do ki pahlu se mere raat chale teri chudi ki khanak se hua taskhir ye dil teri aankhon ke ishaaron pe khayalat chale wo sahar-khez hansi wo tera sharma jaana kaise kaise meri hasti pe tilismat chale zikr ko neze ki rifat pe sajaya jis ne rah gaya haq ka wo markaz so mazafat chale koi takhliq ke asbab bhi samjhe na zara ek nuqte se ayan rang yahan sat chale jab main taskhir tere raaz ko kar paya to phir mere raqs pe duniya tere naghmat chale maktab-e-aql padha padh ke chala maikhane jab na danai chali phir mere jazbaat chale purze purze hai tere hijr mein pairahan-e-jaan mujh mein sanson ki tarah yun tere sadmat chale laut aaegi meri samt 'shajar' hariyali phir jo ek bar usi lams ki khairaat chale