muqabil der tak raushan sitara chahiye kuchh aur andhere ka ahata para-para chahiye kuchh aur kahin bhi der tak tikna gawara hai nahin us ko nigah-e-yar ko har pal nazara chahiye kuchh aur safar mein jhil ke jab naw apni na-rasa thahri khula mujh par ki is babat shikara chahiye kuchh aur ajab kya ki badan ki jal-bujhi si rakh ke andar sulag uthne pe aamada sharara chahiye kuchh aur ubharti tutti maujon se andaza nahin hota samundar mein rawani ka ishaara chahiye kuchh aur jaraid aur bhi aage mere 'shahzad' hain lekin maraatib ke hawale se shumara chahiye kuchh aur