aankh se dil mein aane wala dil se nahin ab jaane wala ghar ko phunk ke jaane wala phir ke nahin hai aane wala dost to hai nadan hai lekin be-samjhe samjhane wala aansu ponchh ke hans deta hai aag mein aag lagane wala hai jo koi to dhyan usi ka aane wala jaane wala husn ki basti mein hai yaro koi taras bhi khane wala dal raha hai kaam mein mushkil mushkil mein kaam aane wala di thi tasalli ye kis dil se chup na hua chillane wala khwab ke parde mein aata hai sota pa ke jagane wala ek din parda khud ultega chhup-chhup ke tarsane wala 'arzu' in ke aage hai chup kyun tum sa baaten banane wala