bas itni rah gai ahl-e-wafa ki dastan baqi sar-e-mahshar bhi hai zikr-e-jabin-o-astan baqi rahega aashiyan bhi gar rahega gulistan baqi ye zid ab to rahegi umr bhar ai baghban baqi main har naqsh-e-qadam par jhum ke sajde mein girta hun rahe kyon ehtiram-e-kucha-e-pir-e-mughan baqi mita sakte nahin hashr-o-qayamat bhi ye do chizen mere sajde rahenge aur un ka aastan baqi nazar jalwon mein gum hai aur jalwe gum nigahon mein nahin ab koi parda mere un ke darmiyan baqi na phunk un ko khuda ke waste a barq rahne de inhin do chaar tinkon se hai nam-e-ashiyan baqi diya saqi ne apne sar se sadqa karke paimana na jab koi raha jam-e-sharab-e-arghawan baqi abhi hone ko hai jin se taqaza-e-ajal paiham kuchh aise din bhi hain minjumla-e-umr-e-rawan baqi dam-e-akhir wo aansu bhi gira mizhgan se bistar par jo apne dard-e-dil ka rah gaya tha raaz-dan baqi na mujh sa bhi koi ho khanuman barbaad duniya mein ki mar jaane pe bhi hain saikdon barbaadiyan baqi dam-e-rukhsat bas itni aarzu hai ai chaman walo hamare baad bhi rakhna khayal-e-ashiyan baqi jabin-e-shauq mein aisa bhi ek betab sajda hai ki hai laghzish se jis ki aabru-e-astan baqi bahaar-e-lala-o-gul ho ki ho rang-e-shafaq 'afqar' rahengi hashr tak khun-e-wafa ki surkhiyan baqi