aankh se hijr gira dil ne duhai di hai ishq walon ki kahan chikh sunai di hai raat ki shakh hili aur gire pile phul dard ke ped ne yun hum ko kamai di hai shor itna ki sunai na diya tha kuchh bhi aankh kholi hai to aawaz dikhai di hai ab nae wasl ki surat hai nikalne wali hijr ne mere tajassus ko rasai di hai din ki parchhain mein ek aks larazta dekha sham dhalte hi wahi shakl dikhai di hai