apne andar utar raha hun main dhire dhire sudhar raha hun main nur-o-zulmat mein imtiyaz nahin is kunen mein utar raha hun main jis ko dekho chura raha hai nigah kis gali se guzar raha hun main khud ko ek din sametna bhi hai aaj-kal to bikhar raha hun main chhoda andesha-ha-e-dur-daraaz ji raha hun ki mar raha hun main jaanta hun main har qadam us ka muddaton ham-safar raha hun main sare chehre hain ye to anjaane mehman kis ke ghar raha hun main