aankh se jab khwab ka qatra gira mere khali hath par lamha gira bhul jaengi hawaen rasta ped se jab aakhiri patta gira phir naya mausam koi takhliq kar zardi-e-taswir par sabza gira rang mere wo utha kar le gaya canwas par rah gaya nuqta gira ho gae be-samt sare fasle ab mere pairon mein wo rasta gira