ab safar mein hai rasta ban kar kya mila hai tujhe hawa ban kar baat bhi rah gai adhuri hi lafz bhi kho gaya sada ban kar khud se aage nikalta jata hai chal raha hai wo rasta ban kar phir se us ko talash karna hai laut aaya hai wo naya ban kar roz ek hadse se guzra hai ji raha hai wo moajiza ban kar mere hisse mein aa gaya koi ek masaib ka silsila ban kar sabz poshak mein nikhar aaya ped achchha laga hara ban kar