aankh se khwab ka rishta nahin rahne deti yaad us ki mujhe tanha nahin rahne deti lazzat-e-dar-badari mein badi wusat hai ki ye dar-o-diwar ka jhagda nahin rahne deti ghar ho ya raunaq-e-bazar kahin bhi jaun be-qarari to kisi ja nahin rahne deti band kar lun to ajab naqsh nazar aate hain aankh mahrum-e-tamasha nahin rahne deti khwahish-e-zar ki hawa dil ke siyah-khane mein ek diya hai jise jalta nahin rahne deti