bhale bujhane ki zid pe hawa udi hui hai magar charagh ki lau aur bhi badhi hui hai main sochta hun use sar pe rakh liya jae zamin kab se mere panw mein padi hui hai tumhaare lahje ki luknat bata rahi hai mujhe ki tum ne khud se hi ye dastan gadhi hui hai koi batae ghazala ko main shikari hun wo be-takan meri rah mein khadi hui hai ye rang rang libason mein kuchh nahin hai 'faraaz' ki sab ki asal qaba khak se judi hui hai