aankh tikti na thi chehre pe hasin aisa tha dil ki duniya mein koi jalwa-nashin aisa tha dastaras mein thi magar pa na saka wo mujh ko dil mein ek umr se wo shakhs makin aisa tha ahd-o-paiman se mukarne ka saliqa tha use deta rahta tha dalilen wo zahin aisa tha ab to banjar hua viran hua barbaad hua khitta-e-dil kabhi shadab-zamin aisa tha mujh ko jagir samajhta tha wo apni jaanan main usi ki hun use mujh pe yaqin aisa tha