aankh un ki nahin daricha hai is dariche mein khud ko dekha hai dil pe nashtar chala ke puchhte hain haal-e-dil ab janab kaisa hai bhuka sab ko uthata wo lekin bhuka hargiz nahin sulata hai dost hi tazkira nahin karte dushmanon mein bhi mera charcha hai wo gharibon ko dan kya karta dharm iman jis ka paisa hai meri fitrat se wo juda nikla yun to kahne ko mera beta hai mahnga ab to yahan hai pani tak khun-e-insan bada hi sasta hai tu ne jis ko samajh liya apna teri nazron ka sirf dhoka hai bistar-e-marg par hai bap magar beta sasural ja ke baitha hai wo bada dil-jala hi hoga 'ayaz' juta bush par jo us ne phenka hai