har chand ki ghaalib ke taraf-dar bahut hain lekin ye mere dost pur-asrar bahut hain jamti hui dekhi hai hatheli pe bhi sarson ye log zamane ke to fankar bahut hain sharminda-e-ehsas na ho gardish-e-dauran barbaadi-e-jaan ko to mere yar bahut hain ye aql kahe rah-e-mulaqat nahin hai dil hum se kahe is baras aasar bahut hain kuchh un ke liye hath utha aur dua kar ‘sartaj’ tere in dinon bimar bahut hain