aankh uthai hi thi ki khai chot bach gai aankh dil pe aai chot dard-e-dil ki unhen khabar kya ho jaanta kaun hai parai chot aai tanha na khana-e-dil mein dard ko apne sath lai chot tegh thi hath mein na khanjar tha us ne kya jaane kya lagai chot yun na qatil ko jab yaqin aaya hum ne dil khol kar dikhai chot aur kya karte hum bala-kash-e-gham jo padi dil pe wo uthai chot kahin chhupti bhi hai lagi dil ki lakh 'fani' ne go chhupai chot