jo aai khushbu kabhi tere pairahan ki tarah gulab jalne lage hain mere badan ki tarah ye tere naz-o-ada teri shokhi-o-shangi hain dil-fareb bahut tere bankpan ki tarah junun ko ras to aai sukunat-e-sahra kahan wo lutf magar teri anjuman ki tarah hain gul hazaron shagufta chaman chaman lekin kahan wo nikhat-e-gul zakhm-e-jaan-o-tan ki tarah bahaar chum ke aai hai teri zulf kahin gulab mahke hain ab ke tere badan ki tarah nahin hai tab-e-nazara isi liye shayad wo rukh pe zulf saja lete hain gahan ki tarah na chhu ke aai agar tere jism ki khushbu saba hai mushk-bu kyun aahu-e-khutan ki tarah na zikr-e-qais kahin hai na nisbat-e-farhad badal gai hai mohabbat bhi fikr-o-fan ki tarah kahan kahan ho rafu chaaragar se ab 'khawar' jigar bhi chaak hua jae pairahan ki tarah