aankh uthegi to diwana girega jhil dekhe se koi pyasa girega aaj uryani khulegi shakh-e-gul ki aaj ki shab aakhiri patta girega raat bhar thithure kisi ke ahd par hum kya khabar thi is qadar para girega tutte rishte na shae hon kahin so khidkiyon par be-wajh parda girega aaj jo kuchla gaya buton ke niche aankh mein ek din yahi zarra girega baadshahon ko koi khatra nahin hai had se had hoga ki ek pyaada girega khuld se aadam zamin tak aa gaya hai kya pata ab aur ye kitna girega