ruk jaun bhala kaise teri rahguzar mein main baad-e-saba hun mujhe rahna hai safar mein har pal mujhe ek khauf ka ehsas hua hai aaseb koi rahta hai shayad mere ghar mein us paikar-e-khushbu ki main taswir banaun itna to kamal aae mere dast-e-hunar mein dastar-e-fazilat ke main qabil to nahin tha kya tujh ko nazar aaya tha is khak-basar mein mumkin hai kadi dhup bhi sae mein badal jae shamil hai teri yaad mere rakht-e-safar mein