aankhen dikhain ghair ko meri khata ke sath matlab ada wo karte hain aur kis ada ke sath shokhi nigah ke sath taghaful jafa ke sath ushshaq par hujum-e-bala hai bala ke sath aakhir hua na zabt shab-e-wasl muddai nala nikal gaya meri lab se dua ke sath tere sitam se mujh ko mila mansab-e-kalim ek wajh-e-guftagu nikal aai khuda ke sath tera hijab uthte hi aaya wo na-gahan dushman ke paon khul gae band-e-qaba ke sath mein kya ki dushmanon ki bhi qismat ulat gai tirchhi adaen aur teri banki ada ke sath rah-e-talab mein shauq ki manzur hai numud mitte qadam qadam pe chale rahnuma ke sath yarab ghalat ho fahm-e-kaj-andesh ka guman kuchh kah raha hai in se adu iltija ke sath dete nahin kisi ko pata apne haal ka begana ban ke chalte hain har aashna ke sath mai be-talab mili to hui yar ki talab bandon ke naz bhi hain nirale khuda ke sath josh-e-qalaq mein dekhiye kya mangta hun main yaron ke dam nikalte hain meri dua ke sath ghar se mujhe nikalte rahiye par is tarah gah muddai ke sath gahe muddaa ke sath kyun shauq mein giraiye sath apne shan-e-ishq aghmaz bhi zarur hai kuchh iltija ke sath kahta hun ye nasib na dushman ko ho firaq aa main wo kahte jate hain meri dua ke sath laila ka nam zinda hai ab tak jahan mein tum bhi nibah do kisi ahl-e-wafa ke sath phirte hi us ki aankh ke wabasta-tar hawa main dil ke sath dil nigah-e-fitna-za ke sath hum aalam-e-khayal mein kuchh bhi na khush hue hai rashk-e-ghair yaad-e-lab-e-jaan-faza ke sath ab to bada khayal teri ranjishon ka hai mahshar mein dekh lenge khuda ki khuda ke sath kahta hai dar ke hath wafa se utha liya dushman ki baat ban gai meri dua ke sath aata hai bu-e-dost mein kafir basa hua qasid bhi ek raqib hai apna saba ke sath kya dhundhte ho dahr mein 'anwar' jamal-e-dost chande phiro chalo kisi mard-e-khuda ke sath