aankhen gham-e-firaq se hain tar idhar-udhar gham ka asar hai aaj barabar idhar-udhar the jo wafa-shiar wo nazr-e-sitam hue ab kis ko dhundhta hai sitamgar idhar-udhar mahfil mein tere husn pe qurban hoga kaun diwane chal diye jo nikal kar idhar-udhar saqi ke sath raunaq-e-mai-khana bhi gai tute pade hain shisha-o-saghar idhar-udhar aisa na ho zamana hanse tum par ek din likkho na mere haal pe hans kar idhar-udhar dil mein kabhi hai dard jigar mein kabhi khalish jaise chhupe hon sine mein nashtar idhar-udhar apni ghazal sunao 'shamim' ahl-e-zauq ko zaea karo na fikr ke jauhar idhar-udhar