suno! ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae ki ek raste pe chalte chalte sau raste nikal aae agarche kam na thi, chaaragaran-e-shahr ki pursish magar! kuchh zakhm-e-na-dida bahut gahre nikal aae mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae bahut din tak hisar-e-nashsha yaktai mein rakkha phir is chehre ke andar bhi kai chehre nikal aae purane zakhm bharte hi, nae zakhmon ke shaidai mizaj-e-aina odhe hue ghar se nikal aae tazad-e-zat ke bais khula wo kam-sukhan aisa adhuri baat ke mafhum bhi pure nikal aae