aankhen hain surkh hont siyah rang zard hai har shakhs jaise mere qabile ka fard hai jab main na tha to meri zamane mein gunj thi ab main hun aur sare zamane ka dard hai suraj mein aaj jitni tapish hai kabhi na thi kya kijiye ki khun hi rag o pai mein sard hai hum kis safar pe nikle ki shaklen badal gain chehre pe jis ke dekho masafat ki gard hai chalta rahe jo aabla-pai ke bawajud manzil ka mustahiq wahi sahra-naward hai aisa na ho sahar meri binai chhin le bedariyon se ab meri aankhon mein dard hai bikhra hua hun khwahish-o-hasrat ke darmiyan jaise mera wajud abhi fard fard hai