aankhen jahan hon band andhera wahin se hai jage hain hum jahan se sawera wahin se hai jis ja se hai shurua mera kunj-e-arzu saya bhi nakhl-e-gham ka ghanera wahin se hai ujda hua wo bagh-e-jahan hum juda hue aaseb-e-gham ka dil pe basera wahin se hai dur ek charagh-e-kushta pada hai zamin par shayad sitam ki raat ka dera wahin se hai