kahan gae shab-e-mahtab ke jamal-zada akela shahr mein phirta hun main khayal-zada tumhaari bazm se jab bhi uthe to haal-zada kabhi jawab ke mare kabhi sawal-zada tere firaq ke mare nazar to aate hain nigar-e-sher kahan hain tere visal-zada na dekho yun meri jaanib udas aankhon se ki mujh se pahle bhi guzre bahut kamal-zada sitare dub rahe hain 'jamil' so jao ye karobar-e-jahan kab na tha maal-zada