aankhen use DhunDengi tamasha nahin hoga

aankhen use dhundengi tamasha nahin hoga
wo dekhenge hum jo kabhi dekha nahin hoga

ek khwab zar-o-sim se ghar bhar gae sare
ab koi yahan nind ka mara nahin hoga

dil hoga nahin hoga kisi yaad ka maskan
so baam-e-talab par koi chehra nahin hoga

hum honge nahin honge tere sham-o-sahar mein
lekin tujhe is baat ka dhadka nahin hoga

ye sar ki bhara hoga farawani-e-shab se
phir ta-ba-abad dil mein ujala nahin hoga

ye khwab sa manzar hai bas ek umr ka mehman
phir hashr talak is ka nazara nahin hoga

phir kis liye hum zahmat-e-ummid uthaen
is shahar mein jab koi bhi tujh sa nahin hoga

bhar jaenge ek roz sabhi ghaw hamare
ai dard-e-mohabbat tera chaara nahin hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close