baha ke basti ko matla jo khul gaya sain

baha ke basti ko matla jo khul gaya sain
qubul ho gai kahte ho wo dua sain

so itna habs badhaya gaya ki phir aakhir
charagh de ke kharidi gai hawa sain

ye kin khutut pe diwar hum ne khinchi hai
koi bura nahin hum mein nahin bhala sain

qata hui hain zabanen ki bik gae hain sukhan
zaban rakhte hue koi chup raha sain

karen na kis liye aabaad qatl-gahen hum
qatil hona hi thahri agar jaza sain

kahan se qand ko la kar zaban par rakhte
hui hai zahar se jo aaluda har faza sain

duaen kis liye mangi thin habs chhatne ki
uda ke le gai aandhi meri rida sain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close