aankhen zamin aur falak dastkar hain pani ke jitne rup hain sab mustaar hain khud ko akela jaan ke tanha na jaanna ye aaine nahin hain tere pahre-dar hain mushkil ki is ghadi mein karun kis se mashwara kuchh dost hain to wo bhi fasana-nigar hain ye chhanw jaisi dhup hamara mizaj hai hum log aaftab hain aur saya-dar hain 'arish' jo mere sar pe nahin ho sake sawar wo sare log meri kamar par sawar hain