saman-e-aish sara hamein yun tu de gaya lekin hamare munh se zaban kat le gaya daftar mein zehn ghar nigah raste mein panw jine ki kawishon mein badan hath se gaya sine se aag aankh se pani ragon se khun ek shakhs hum se chhin ke kya kya na le gaya lab par sukut dil mein udasi nazar mein khauf mera uruj mujh ko ye saughat de gaya khwabon ka ek tilism bacha tha dimagh mein ab ke baras ise bhi koi tod le gaya phunkarta hua mujhe ek azhdaha mila jab bhi kisi khazane ka dar kholne gaya