aankhon ka khuda hi hai ye aansu ki hai gar mauj kashti bache kyunkar jo rahe aath pahar mauj ai bahr na tu itna umand chal mere aage ro ro ke duba dunga kabhi aa gai gar mauj pahuncha nahin gar tera qadam ta-lab-e-dariya sahil se patak sar ko hai kyun khak-ba-sar mauj gar aalam-e-ab is ka kamin-gah nahin hai kyun tair-e-bismil ki tarah mare hai par mauj uthte nahin sahil ki misal apne makan se dariya ki tarah marte hain apne hi ghar mauj kya puchhte ho ashk ke dariya ka talatum jati hai nazar jis taraf aati hai nazar mauj gar nahin hai 'huzur' us ko hawas did ki us ke kyun khole hababon se hai yun dida-e-tar mauj