hum sitaron mein tera aks na dhalne denge chand ko sham ki dahliz pe jalne denge aaj chhu lenge koi arsh mere wahm-o-guman khwab ko nind ki aankhon mein machalne denge hum bhi dekhenge kahan tak hai rasai apni dil ko bahlaenge hum aur na sambhalne denge shab ki aaghosh mein phailen na guman ke sae ab nigahon mein koi khauf na palne denge ho na jae kahin anjam se pahle anjam is kahani ko isi taur se chalne denge aks-dar-aks milenge tujhe manzar manzar tu jo chahe bhi kahan tujh ko badalne denge naqsh-dar-naqsh hue jaenge bas khak yahin khud ko is dasht-e-guman se na nikalne denge